Apne saath Mein
Apne saath mein khud khadi hoon Matlabi duniya, yaha kon kiske saath hai? Mene apne aapko he paa liya Ab khona nahi, khud se kabhi mujhe Main khud ki roshni mein chaloon Apne pyar se, apne aapko sanwaroon Har kadam par, ek naya raasta dhundlu Har saans par, ek naya jeevan paalu Mere andar, mere dil mein, ek naya ujala hai Mere saath mein, mere aap mein, ek naya saath hai Jeevan ki raahon par, mujhe mil gaya Ek naya aasman, us aasman ki me khud ek chaand hu Ab main khud ki saath mein hoon Apne pyar se, apne aapko sanwaroon He yahi aasha, chahu khudko khudse jyada Dua he yehi, kabhi khona du khudko Meri takaat mein, khud hu khudko Rahoonme toh ek na ekdin sabhi chhodete he saath Isliye thambliyaan mene khud aapna hie haath Khudme hie paarahihu me khushiyaan Taki dusrose lagani na pade aas Jaan se pyaari chij kho chuki hu me Jinke saath ek pal dur na rehti aaj saalose hu dur Zindagi me isse jyada bada gaam kabhi na ayega Joh ek arsaa pehle he ayatha Issi gaam ko takat he banai...Aabh bani hu iss tarah ki Koyi kithna bhi todna chahe mujhe ander se Toh bhi yeh dil toot na payega Zindagi ne bohot kuch sikha diya he mujhe Har ekchije dekhi hu me kareeb se Mene aapne aapko kuch iss tarah he paya...❤️🩹💯
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
